• 43179阅读
  • 347回复

旁遮普语

级别: 管理员
只看该作者 200 发表于: 2011-03-04
kuch tabiyat bhi udas rahee t

--------------------------------------------------------------------------------

kuch tabiyat bhi udas rahee
teri ulfat bhi na saath rahee

uja.d purkhar rastoon pay
zindagee se mulaqaat rahee

chaley to hum bhi thai basd-e-shouq
par manzil tere haath rahee

jism-o-jaan khandar hoey
sulagtee meri hayyat rahee

teri deed jo chin gai mujh se
rooshan na kabhi raat rahee

ik aag main jaley barsoon
go aankh main barsaat rahee

osko tazeen ka shouq raha
lahoo lahoo meri zaat rahee

级别: 管理员
只看该作者 201 发表于: 2011-03-04
prem ne tumhaare tum aur mere

--------------------------------------------------------------------------------

prem ne tumhaare tum aur mere main ki
jaane kitni tahen udhed kar,un katranon se
hamaare hum ki ek ooni chaadar sil di
aur tumhaare thithurte nagn tum ko
aur mere thithurte nagn main ko
udha di.
ab tumhaara tum aur mera main
humaare hum ki is garm chaader ki senk mein
u gunthe soen hain
ki dono ke astitava antardhaan hain

级别: 管理员
只看该作者 202 发表于: 2011-03-04
Gum Sum, Khamosh Ho, Kuch Kaho

--------------------------------------------------------------------------------

Gum Sum, Khamosh Ho, Kuch Kaho To Sahi
Mile Jo Muddat Se, Kuch De'er Raho To Sahi

Ab Aey Apne Dar Par, Aur Yun'hi Baithey Ho?
Jashn-e-Wasl Hai Bapaa, Hum Se, Milo To Sahi

Maana Ke Tum Apne Nehi, Ghair Hi Sahi
Ek Ta'jalli, Aey Parda Nasheen, Dikha Do To Sahi

Ek Waqt Se Hoon Lazzat-e-Dard-e-Ishq se Mahroom
Kamaan-e-Nigah Se Teer, Hum Ko, Maro To Sahi

Ajab Sa Hai Yeh Maqaam, Aap Bhi Woh Nahin
Aalam-e-Faraib Hai, Yahaan Se, Chalo To Sahi

Aa Gaey Phir, Dar-e-Haqiqat Pe Hum Aftab
Shab Guzar Gaiy, Ab Tum Bhi, Utho To Sahi

级别: 管理员
只看该作者 203 发表于: 2011-03-04
Yunhi udta hua aaj phir tera k

--------------------------------------------------------------------------------

Yunhi udta hua aaj phir tera khayaal aaya hai,

Ke bade dino baad dil ko dhadakna yaad aaya hai.

Raat khwaboon mein kati aur din intezar mein,

Ban ke bechaini mera karaar aaya hai.

Khamosh rahe! ye keh do is jahaan se,

Ke palko ke gareebkhane me, aaj chand aaya hai

Bus ek dua hai, ke kaash woh bhi keh de,

Ke uske bhi khwaboon ne hame apnaaya hai.

级别: 管理员
只看该作者 204 发表于: 2011-03-04
yaad karkay humain bhula dena,

--------------------------------------------------------------------------------

yaad karkay humain bhula dena,
beetay jazbon ko phir hawa dena.

naa cheR dhun koi purani ab,
hay tera kaam buss rula dena.

aaj phir bebasi ka alam hay,
koi hal uss ka bhi suna dena.

raat ka hay nasha ya yaad teri,
jhoomtay dil ko kuch dua dena.

ay afsaana-e-mohabbat aaj,
shamma-e-shouq toe jala dena.

aay gi yaad teri phir say aaj,
yaro hum soain toe jaga dena.

ah Mussawir woh ghazab ki ankhain,
apni yadon say tum mita dena........

级别: 管理员
只看该作者 205 发表于: 2011-03-04
TooN tureyoN sooraj asteya

--------------------------------------------------------------------------------

TooN tureyoN sooraj asteya

koi giya haneray doahl...



asaN takwa lai ke ishaq da

kull kaalakh ditti phoal



asan deeway baali chaan'ni

wich ghiyoN ke mehkaN soahl



aasN looN looN geet jagayea

jehday qismat wargay bol



auh taaray saadi muTh wich

eihh deeway saadi jhol



kull qismat saady vall vey

ikk tooN na saaday koll....

级别: 管理员
只看该作者 206 发表于: 2011-03-04
Char tinke uthake jungle se

--------------------------------------------------------------------------------

Char tinke uthake jungle se

Ek bali aanaj ki lekar

Chand katre-se basi aashko ke

Chand fanke bujhe hua lab par

Muthi bhar apni kabra ki mitti

Muthi bhar arzooo ka gara

Ek tamir ki liye hasrat

Tera khanabadosh bechara

Sahar mein dar-b-dar bhatakta hai


Tera kandha mile to sar tenko.

级别: 管理员
只看该作者 207 发表于: 2011-03-04
Ek bechari nazm ke peechche

--------------------------------------------------------------------------------

Ek bechari nazm ke peechche

Saikdo rozmarra ke masle

Tej neze uthake bhagte hai

Muntsir zahan ke biyaba mein


Daastano ki â
级别: 管理员
只看该作者 208 发表于: 2011-03-04
Sab ek nazar dekh ke badh jaat

--------------------------------------------------------------------------------

Sab ek nazar dekh ke badh jaate hai aage..

Mein waqt ke bazaar mein chup-chaap khadaa hoonâ
级别: 管理员
只看该作者 209 发表于: 2011-03-04
Hum hain gumnam hamain gumnam

--------------------------------------------------------------------------------

Hum hain gumnam hamain gumnam rehnai doo
Na othaoo subh-e-parda sham rehnai doo

Karo zikar zikar-e-Khuda to kuch hasil hoo
Hamara zikar yoon subh-wo-sham rehnai doo

Soorat gari hai faqat tumara hee zooq
Seerat gari ka hamain ghulam rehanai doo

Hum tara choor chookai maikhana a saqi
Rifqat kai bharai jam rehnai doo

Aik arzi hai khaki-e-bilagharzi ki
Apnai khoolos ka hum pay inam rehnai doo

Na hoo hum safar hamarai jee rahain hain lafzo kai saharai
Faqat lafaz hee to hain inhain humnam rehnai doo

Rekhtai ho zaqam pay murham waAllah kis ada say
Shara-e-zindagi pay ranj-wo-alam rehnai doo

Naheen hai adat hamain yoon ahsan karnai ki
Hoga bus yooheen â
描述
快速回复

您目前还是游客,请 登录注册