• 43184阅读
  • 347回复

旁遮普语

级别: 管理员
只看该作者 220 发表于: 2011-03-04
1.Yaari la tu kise naal lakh v

--------------------------------------------------------------------------------

1.Yaari la tu kise naal lakh vaar sajna,
par mere jeha pyaar kise naal paavi na,
zinda rahe ta lakh vaar milaange,
par je marr gaye ta dilo bhulaavi na!!

2.Okha lange waqt vichore da,
bin yaar sahara kon kare,
ek din hove ta oh lang jaave,
Saari umer guzara kon kare!!

级别: 管理员
只看该作者 221 发表于: 2011-03-04
REALLY TRUE ; By the time t

--------------------------------------------------------------------------------

REALLY TRUE ;

By the time the Lord made woman, he was into his sixth day of working overtime. An angel appeared and said, "Why are you spending so much time on this one?" And the Lord answered, "Have you seen my spec sheet on her? She has to be completely washable, but not plastic, have over 200 movable parts, all replaceable and able to run on diet coke and leftovers, have a lap that can hold four children at one time, have a kiss that can cure anything from a scraped knee to a broken heart-and she will do everything with only two hands."


The angel was astounded at the requirements. "Only two hands!? No way! And that's just on the standard model? That's too much work for one day. Wait until tomorrow to finish." "But I won't," the Lord protested. "I am so close to finishing this creation that is so close to my own heart. She already heals herself when she is sick AND can work 18 hour days." The angel moved closer and touched the woman. "But you have made her so soft, Lord." "She is soft," the Lord agreed, "but I have also made her tough. You have no idea what she can endure or accomplish." "Will she be able to think?", asked the angel.


The Lord replied, "Not only will she be able to think, she will be able to reason and negotiate." The angel then noticed something, and reaching out, touched the woman's cheek. "Oops, it looks like you have a leak in this model. I told you that you were trying to put too much into this one." "That's not a leak," the Lord corrected, "that's a tear!" "What's the tear for?" the angel asked. The Lord said, "The tear is her way of expressing her joy, her sorrow, her pain, her disappointment, her love, her loneliness, her grief and her pride."


The angel was impressed. "You are a genius, Lord. You thought of everything! Woman is truly amazing." And she is! Women have strengths that amaze men. They bear hardships and they carry burdens, but they hold happiness, love and joy. They smile when they are happy and laugh when they are nervous. They fight for what they believe in. They stand up to injustice. They don't take "no" for an answer when they believe there is a better solution. They go without so their family can have.They go to the doctor with a frightened friend.They love unconditionally.They cry when their children excel and cheer when their friends get awards.They are happy when they hear about a birth or a wedding.Their hearts break when a friend dies.


They grieve at the loss of a family member, yet they are strong when they think there is no strength left. They know that a hug and a kiss can heal a broken heart. Women come in all shapes, sizes and colors. They'll drive, fly, walk, run or e-mail you to show how much they care about you. The heart of a woman is what makes the world keep turning. They bring joy, hope and love. They have compassion and ideals. They give moral support to their family and friends. Women have vital things to say and everything to give.



HOWEVER, IF THERE IS ONE FLAW IN WOMEN,
IT IS THAT THEY FORGET THEIR WORTH.
I MISS U P...

级别: 管理员
只看该作者 222 发表于: 2011-03-04
Koyi dost hai na koi rakeeb ha

--------------------------------------------------------------------------------

Koyi dost hai na koi rakeeb hai

Tera shaher kitna ajeeb hai
Yahan kiska chehra pada karoon
Yahan kaun itna qareeb hai
Main kis se kahoon mere saath chal
Yahan sab kay sar par saleeb hai

Daastaan-e-gham-e-dil unko sunaii na gayi
baat bigdii kuchh aisii ki banaii na gayi
Sab ko ham bhool gaye josh-e-junoon mein lekin
ek teri yaad thi aisi ki bhulaai na gayi
Ishq par kuchh na chalaa dida-e-tar ka jaadoo
usne jo aag lagaa di woh bujhaai na gayi

Raat bhar neend hi naa aaye to ,
Ashq aankhon main chhal chhalaaye to,
Kyaa hua hai bataaiye kaise,
Yaad koi bahot hi aaye to

级别: 管理员
只看该作者 223 发表于: 2011-03-04
Thanks God for what I have

--------------------------------------------------------------------------------

Thanks God for what I have

Today, upon a bus,
I saw a girl with golden hair.
and wished I was as fair.
When suddenly she rose to leave,
I saw her hobble down the aisle.
She had one leg and wore a crutch.
But as she passed, a smile.

Oh, God, forgive me when I whine.
I have 2 legs, the world is mine.

I stopped to buy some candy.
The lad who sold it had such charm.
I talked with him, he seemed so glad.
If I were late, it'd do no harm.
And as I left, he said to me,
"I thank you, you've been so kind.
It's nice to talk with folks like you.
You see," he said, "I'm blind."

Oh, God, forgive me when I whine.
I have 2 eyes, the world is mine.

Later while walking down the street,
I saw a child with eyes of blue.
He stood and watched the others play.
He did not know what to do.
I stopped a moment and then I said,
"Why don't you join the others, dear?"
He looked ahead without a word.
And then I knew, he couldn't hear.

Oh, God, forgive me when I whine.
I have 2 ears, the world is mine.

With feet to take me where I'd go.
With eyes to see the sunset's glow.
With ears to hear what I'd know.
Oh, God, forgive me when I whine.
I've been blessed indeed, the world is mine.

级别: 管理员
只看该作者 224 发表于: 2011-03-04
tumhe dekhkar yuu.n bhii socha

--------------------------------------------------------------------------------

tumhe dekhkar yuu.n bhii sochaa kiyaa
khud ko mai.n khud se hii nihaa.n kiyaa

mumkin ho manzil hai saamne pa.dii
aur ham kahaa.n na ddhoondaa kiyaa

nizaam-e-chaahat se vaaqif na thaa
aapni tarah se mai.n chaahaa kiyaa

khaatir-e-tabassum haqiiqat kii
tasavvur ko hii rulaayaa kiyaa

zanjiir-e-yaado.n se rihaa na hai
ha.nsii khwaab aisaa bhii dekhaa kiyaa

naqaab-e-gham mujh ko hai khub milaa
tabassum se maine royaa kiyaa

级别: 管理员
只看该作者 225 发表于: 2011-03-04
rett ki tarah hath se nikalti

--------------------------------------------------------------------------------

rett ki tarah hath se nikalti chalee gayee
zindagi har lamha badalti chalee gayee.


aziz the mujhe apne Ausool lekin na jane kyun,
naye daurr ke dhaNche mein yeh dhalti chalee gayee.


dikha ke para-e-dil-O-zkhm-e-jigar rokna chaha,
woh mano dafN kar mujhe Fatiha padhti chalee gayee.


sihaasat mein kahan ki dosti aur kya wafadari,
hasb-e-mamool woh apni aag ugalti chalee gayee.



sehar hone pe bhi chirag woh bhujne nahi deta,
idhar mein, udhar woh shamma bhi jalti cahlee gayee.


na waj'a-e-kalaam thi na koi raafta phir bhi,
dil-e-nadaan mein kya kya ummidein palti chalee gayee.


hue naseeb tujhe saNg sar-e-bazaar,
Woh soorat-e-saba aayee aur, Tehalti chalee gayee.

级别: 管理员
只看该作者 226 发表于: 2011-03-04
Poems by Deepak n others December 18 2003 ( 1 2 3 ... Last Page)
级别: 管理员
只看该作者 227 发表于: 2011-03-04
ho.nTho.n pe kabhii un ke mera

--------------------------------------------------------------------------------

ho.nTho.n pe kabhii un ke meraa naam hii aae
aae to sahii bar-sar-e-ilzaam hii aae


hairaan hai.n lab_bastaa hai.n, dilagiir hai.n Gu.nche
Khushbuu kii zubaanii teraa paiGaam hii aae


lamhaat-e-masarrat hai.n tasavvur se gurezaa.N
yaad aae hai.n jab bhii Gam-o-aalaam hii aae


taaro.n se sajaa le.nge raah-e-shahar-e-tamannaa
maqaduur nahii.n subho chalo shaam hii aae


yaado.n ke vafaao.n ke aqiido.n ke Gamo.n ke
kaam aae jo duniyaa me.n to is naam hii aae


kyaa raah badalane kaa gilaa hamasafaro.n se
jis raah se chale tere dar-o-baam hii aae


thak haar ke baiThe hai.n sar-e-kuu-e-tamannaa
kaam aae to phir jazabaa-e-naakaam hii aae


baaqii na rahe saaKh 'dEEP' dasht-e-junuu.N kii
dil me.n agar a.ndeshaa-e-a.njaam hii aae

级别: 管理员
只看该作者 228 发表于: 2011-03-04
jinhein main DhuuNDhataa thaa

--------------------------------------------------------------------------------

jinhein main DhuuNDhataa thaa aasmaanon mein zamiinon mein
vo nikale mere zulmat-e-Khaanaa-e-dil ke makiinon mein....
mahiine vasl ke ghaDiyoon kii suurat uDate jaate hain
magar ghaDiyaa.N judaaii kii guzaratii hai mahinon mein...

mujhe rokegaa tuu ai naaKhudaa kyaa garq hone se
ki jin ko Duubanaa hai Duub jaate hain safiinon mein

muhabbat ke liye dil DhuudDh koii TuuTanevaalaa
ye vo mai hai jise rakhate hain naazuk aab_giinon mein


buraa samajhuuN unhein mujh se to aisaa ho nahiin sakataa
ki main Khud bhii to huuN "Iqbal" apane nuktaachiino.n mein

级别: 管理员
只看该作者 229 发表于: 2011-03-04
ai ishq na chhe.D aa aa ke ham

--------------------------------------------------------------------------------

ai ishq na chhe.D aa aa ke hame.n
ham bhuule huo.n ko yaad na kar
pahale hii bahut naashad hai.n ham
tuu aur hame.n naashaad na kar
qismat kaa sitam hii kam nahii.n kuchh
ye taazaa sitam ijaad na kar
yuu.N zulm na kar bedaad na kar
ai ishq hame.n barbaad na kar
jis din se mile hai.n dono.n kaa
sab chain gayaa aaraam gayaa
cheharo.n se bahaar-e-subah ga_ii
aa.Nkho.n se faroG-e-shaam gayaa
haatho.n se Khushii kaa jaam chhuuTaa
ho.nTho.n se ha.Nsii kaa naam gayaa
GamGii.n na banaa naashaad na kar
ai ishq hame.n barbaad na kar
raato.n ko uTh uTh rote hai.n
ro ro kar duaaye.n karate hai.n
aa.Nkho.n me.n tasavvur dil me.n Khalish
sar dhunate hai.n aahe.n bharate hai.n
ai ishq ye kaisaa rog lagaa
jiite hai.n na zaalim marate hai.n
ye zulm to ai jallaad na kar
ai ishq hame.n barbaad na kar
ye rog lagaa hai jab se hame.n
ranjiidaa huu.N mai.n biimaar hai vo
har vaqt tapish har vaqt Khalish
be-Khvaab huu.N mai.n bedaar ha vo
jiine se idhar bezaar huu.N mai.n
maranbe pe udhar tayyaar hai vo
aur zabt kahe fariyaad na kar
ai ishq hame.n barbaad na kar
bedard zaraa insaaf to kar
is umr me.n aur maGmuum hai vo
phuulo.n kii tarah naazuk hai abhii
taaro.n kii tarah masuum hai vo
ye husn sitam ye ranj Gazab
majabuur huu.N mai.n mazaluum hai vo
mazaluum pe yuu.N bedaad na kar
ai ishq hame.n barbaad na kar
ai ishq Khudaaraa dekh kahii.n
vo shoKh hasii.n badanaam na ho
vo maah-e-laqaa badanaam na ho
vo zohraa-jabii.n badanaam na ho
naamuus kaa us ko paas rahe
vo pardaa-nashii.n badanaam na ho
us pardaa-nashii.n ko yaad na kar
ai ishq hame.n barbaad na kar
ummiid kii jhuuThii jannat ke
rah rah ke na dikhalaa Khvaab hame.n
aa_iindaa ke farzii ishrat ke
vaade se na kar betaab hame.n
kahataa hai zamaanaa jis ko Khushii
aatii hai nazar kaamayaab hame.n
chho.D aisii Khushii ko yaad na kar
ai ishq hame.n barbaad na kar
do din hii me.n ahad-e-tifalii ke
maasuum zamaane bhuul gaye
aa.Nkho.n se vo Khushiyaa.N miT sii ga_ii.n
lab ke vo taraane bhuul gaye
un paak bahishtii Khvaabo.n ke
dilchasp fasaane bhuul gaye
un Khvaabo.n se yuu.N aazaad na kar
ai ishq hame.n barbaad na kar
aa.Nkho.n ko ye kyaa aazaar huaa
har jazb-e-nihaa.N par ro denaa
aahang-e-tarab pe jhuk jaanaa
aavaaz-e-fuGaa.N par ro denaa
barbat kii sadaa par ro denaa
mutrib ke bayaa.N par ro denaa
ehasaas ko Gam buniyaad na kar
ai ishq hame.n barbaad na kar
jii chaahataa hai ik duusare ko
yuu.N aaTh pahar ham kare.n
aa.Nkho.n me.n basaaye.n Khvaabo.n ko
aur dil ko Khayaal aabaad kare.n
Khilvat me.n bhii jo jalvat kaa saamaa.N
vahadat ko du_ii se shaad kare.n
ye aarazuue.n ijaad na kar
ai ishq hame.n barbaad na kar
vo raaz hai ye Gam aah jise
paa jaaye ko_ii to Khair nahii.n
aa.Nkho.n se jab aa.Nsuu bahate hai.n
aa jaaye ko_ii to Khair nahii.n
zaalim hai ye duniyaa dil ko
yahaa.N bhaa jaaye ko_ii Khair nahii.n
hai zulm magar fariyaad na kar
ai ishq hame.n barbaad na kar
duniyaa kaa tamaashaa dekh liyaa
GamGii.n sii hai betaab sii hai
ummiid yahaa.N ik vaham sii hai
taskiin yahaa.N ik Khvaab sii hai
duniyaa me.n Khushii kaa naam nahii.n
duniyaa me.n Khushii nayaab sii hai
duniyaa me.n Khushii ko yaad na kar
ai ishq hame.n barbaad na kar

描述
快速回复

您目前还是游客,请 登录注册